Mujhy raaste mein para hua ek Ajnabi ka khat mila
Kahin khoon-E-dil se likha hua kahin aansuon se mita hua
Mujhe humsafar bhi mila to woh sitam zareef meri tarah
Kai manzilon ka thaka hua kai raastow ka luta hua
Kuch is liye bhi raat ko ghar say nikal aata hun main
Keh sardiyon kay chaand ko ehsas e tanhai na ho
Aaj to unki yaad main aisay khoye hain "FARAZ"
Jesey tanha kashti ko samandar main shaam ho jay
Waqt nay sari kahani hi badal dali
Pyar ka naam jo ata hay to dar lagta hay
Zakhm kuch aisay apnon nay diaye hain
Ab koi hath milata hay to dar lagta hay
Woh jo sochta hay uski wizahat bhi nahin karta
Woh shakhs to khul kay muhabat bhi nahin karta
Jiss tarah toot kay chaha hay hum nay usay
Is tarah to koi "IBAADAT" bhi nahin karta
Yeh ham tasleem kartey hain
Tumhain fursat nahain milti
Magar o meri zaat kay mehwar
Kabhi yeh bhi zara socho
Tumhain ham yaad kartey hain
To khud ko bhool jatay hain