Gham is kadar mila ki ghabra kay pi gaya
Khushi thori si mili to milaa ke pi gaya
Yuon to na thi janam se pinay ki adat
Sharab ko tanha dekha to taras kha kay pi gaya
Koi achi si saza do mujh ko
Chalo aisa karo bhula do mujh ko
Tum say Bichron to maout a jay
Dil ki gehrayon say aisi dua do mujh ko
Tabeer jo mil jati to aik khawab bahut tha
Jo shakhs ganwa betha woh nayaab bahut tha
Main kaisay bacha leta bhala Kashti-E-Dil ko
Darya-E-Muhabat main sailab bahut tha
Mili ho chand si surat to itraya nahi kartay
Khyalon main is tarah kisi kay aya nahi kartay
Meri udasi ka sabab pocha logon nay
Hum nay kaha hum un kay bina muskaraya nahi kartay
Woh Rukhsat Howa to ankh mila kar nahi gaya
Woh keon gaya yeh to bata kar nahi gaya
Lagta hay wapas abhi laut aye ga
Woh jaltay howay chiragh bujha kar nahi gaya
Tanha Si Zindagi Main
Chota Sa Saath Tumhara
Ittifaq Hi Sahi
Par Lagta Hai Hum Ko Pyara
Jaise Akele Se aik Parinde Ko
Mil gaya Ho Aasman Saara